Monday, July 30, 2007

ja laut ja apani manjil pane ke liye
dost ye jindagi nahi kisike gum mein rone ke liye
jo nasamajh the wo na samajh payenge
jindagi nahi rukati kisi ek insan ke liye
hum bhi pyar karte hain unse
ekrar-e mohobbat kar nahi pate
kash wo humari khamoshi samajh le
juba pe labz hum la nahi pate
e-ajanabi tu apana na ban
ye mohobbat hamari manjil nahi
ye to dard deti hai
jise pane ki hame khwahish nahi
Itna na karo pyar hamase
Ki aapko khone ka dar paida ho
Ye dar hi nahi sachhai hai
Aap dil todane ka intzam na karo..
‘Wah’ keheke shayrika mazak mat uda dost
Ye to dard-e-dil ki dastan hai
Wakt tumpe bhi aa sakta hai kabhi
Dil todne walon ki duniya mein kami jo na hai!